tum mere dil mein raho hasrat-o-arman ho kar
tum mere dil mein raho hasrat-o-arman ho kar
Mahmood Abdul Qadeer
MORE BYMahmood Abdul Qadeer
tum mire dil meñ raho hasrat-o-armāñ ho kar
ḳhāna-e-dil na miTe ḳhāna-e-vīrāñ ho kar
mah-o-anjum ruḳh-e-pur-nūr pe qurbāñ ho kar
chaah meñ terī rahe chāh-e-zanaḳhdāñ ho kar
haq ne mahbūb ko dekhā to kahā ye hañs ke
merī tasvīr bane baiThe ho insāñ ho kar
saath rahne se mohabbat bhī to ho jaatī hai
kyoñ kahīñ jaa.e hamārī shab-e-hijrāñ ho kar
tū vo tasvīr hai tasvīr tirī khīñch na sakī
jal uThe lauh-o-qalam sarv-e-charāġhāñ ho kar
diid kā shauq hai jis ko vo nazāra kar le
sāmne baiThe haiñ vo sarv-e-charāġhāñ ho kar
donoñ aalam haiñ tirī barq-e-nazar se ghāyal
tiir ban kar kahīñ chamkī kahīñ paikāñ ho kar
lazzat-e-gardish-o-āfāt-e-musalsal mat pūchh
jab maraz had se baḌhā rah gayā darmāñ ho kar
sher kah kar bhī maiñ gumnām abhī tak huuñ 'qadīr'
yahī misrā mirā rah jā.egā dīvāñ ho kar
tum mere dil mein raho hasrat-o-arman ho kar
KHana-e-dil na miTe KHana-e-viran ho kar
mah-o-anjum ruKH-e-pur-nur pe qurban ho kar
chah mein teri rahe chah-e-zanaKHdan ho kar
haq ne mahbub ko dekha to kaha ye hans ke
meri taswir bane baiThe ho insan ho kar
sath rahne se mohabbat bhi to ho jati hai
kyon kahin jae hamari shab-e-hijran ho kar
tu wo taswir hai taswir teri khinch na saki
jal uThe lauh-o-qalam sarw-e-charaghan ho kar
did ka shauq hai jis ko wo nazara kar le
samne baiThe hain wo sarw-e-charaghan ho kar
donon aalam hain teri barq-e-nazar se ghayal
tir ban kar kahin chamki kahin paikan ho kar
lazzat-e-gardish-o-afat-e-musalsal mat puchh
jab maraz had se baDha rah gaya darman ho kar
sher kah kar bhi main gumnam abhi tak hun 'qadir'
yahi misra mera rah jaega diwan ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.