tum mere ghar jo shab basar karte
tum mire ghar jo shab basar karte
raat bhar jashn bām-o-dar karte
tum jo aate mire tasavvur meñ
mere sheroñ ko mo'atabar karte
chhā ga.e hote saarī duniyā par
nek a.amāl tum agar karte
jaan lete tum us kī fitrat ko
saath us ke kabhī safar karte
tujh ko manzil kā gar patā hotā
ham tujhe apnā rāhbar karte
multafit kyoñ hue ho ġhairoñ par
tum mire haal par nazar karte
ham ko miltā 'zakī' agar gustāḳh
zindagī us kī muḳhtasar karte
tum mere ghar jo shab basar karte
raat bhar jashn baam-o-dar karte
tum jo aate mere tasawwur mein
mere sheron ko mo'atabar karte
chha gae hote sari duniya par
nek aamal tum agar karte
jaan lete tum us ki fitrat ko
sath us ke kabhi safar karte
tujh ko manzil ka gar pata hota
hum tujhe apna rahbar karte
multafit kyon hue ho ghairon par
tum mere haal par nazar karte
hum ko milta 'zaki' agar gustaKH
zindagi us ki muKHtasar karte
- Book : ضبط فغاں(شعری مجموعہ) (Pg. 152)
- Author : کوکب ذکی
- Publication : وشواس پبلی کیشنز ،حیدرآباد (2016)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.