tum mere KHwab-e-pareshan ka asar dekho to
tum mire ḳhvāb-e-pareshāñ kā asar dekho to
muzmahil saarā gulistāñ hai idhar dekho to
lab-o-āriz kī qasam jalva-e-raqsāñ kī qasam
kis qadar shoḳh hai vo rashk-e-qamar dekho to
shiddat-e-tishna-labī meñ dar-e-mai-ḳhāna par
rakh diyā phir kisī majbūr ne sar dekho to
talḳhiyāñ bhuul ke jazbāt pe qaabū rakh kar
tum ḳhudā ke liye ik baar idhar dekho to
kyā sitam is se ziyāda koī ho saktā hai
mausam-e-gul meñ kaTe haiñ mire par dekho to
jis se gumrāh zamāne ko ziyā miltī hai
ilm-o-irfān-o-hidāyāt kā vo dar dekho to
sab pareshāñ haiñ yahāñ kaun kahe un se 'sahar'
tum ġharīboñ ko kabhī ek nazar dekho to
tum mere KHwab-e-pareshan ka asar dekho to
muzmahil sara gulistan hai idhar dekho to
lab-o-ariz ki qasam jalwa-e-raqsan ki qasam
kis qadar shoKH hai wo rashk-e-qamar dekho to
shiddat-e-tishna-labi mein dar-e-mai-KHana par
rakh diya phir kisi majbur ne sar dekho to
talKHiyan bhul ke jazbaat pe qabu rakh kar
tum KHuda ke liye ek bar idhar dekho to
kya sitam is se ziyaada koi ho sakta hai
mausam-e-gul mein kaTe hain mere par dekho to
jis se gumrah zamane ko ziya milti hai
ilm-o-irfan-o-hidayat ka wo dar dekho to
sab pareshan hain yahan kaun kahe un se 'sahar'
tum gharibon ko kabhi ek nazar dekho to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.