tum na aao to nama-bar hi sahi
tum na aao to nāma-bar hī sahī
mubtadā ho na ho ḳhabar hī sahī
is ke saa.e meñ dam to letā huuñ
shāḳh-e-ummīd be-samar hī sahī
dil kī niklī to hai bhaḌās zarā
aah be-gāna-e-asar hī sahī
aur to aap se na kuchh hogā
mehrbānī kī ik nazar hī sahī
chhoḌ vaa.iz riyā ko jaam uThā
ḳhair mumkin nahīñ to shar hī sahī
ek muddat se sun rahā hai jahāñ
dāstāñ merī muḳhtasar hī sahī
kyuuñ hai nā-mo'tabar karam un kā
zindagī dard-e-mo'atabar hī sahī
nūr-afzā hai yād-e-chehra-e-dost
raat furqat kī be-sahar hī sahī
hai yahī merā kāba-e-maqsūd
sajda karne ko terā dar hī sahī
roz minnat-kash-e-davā to na ho
zindagī ek dard-e-sar hī sahī
kuchh tumheñ bhī to rahm lāzim hai
merī fariyād be-asar hī sahī
'arsh' be-gāna-e-hunar to na rah
aib karne kā ik hunar hī sahī
tum na aao to nama-bar hi sahi
mubtada ho na ho KHabar hi sahi
is ke sae mein dam to leta hun
shaKH-e-ummid be-samar hi sahi
dil ki nikli to hai bhaDas zara
aah be-gana-e-asar hi sahi
aur to aap se na kuchh hoga
mehrbani ki ek nazar hi sahi
chhoD waiz riya ko jam uTha
KHair mumkin nahin to shar hi sahi
ek muddat se sun raha hai jahan
dastan meri muKHtasar hi sahi
kyun hai na-mo'tabar karam un ka
zindagi dard-e-mo'atabar hi sahi
nur-afza hai yaad-e-chehra-e-dost
raat furqat ki be-sahar hi sahi
hai yahi mera kaba-e-maqsud
sajda karne ko tera dar hi sahi
roz minnat-kash-e-dawa to na ho
zindagi ek dard-e-sar hi sahi
kuchh tumhein bhi to rahm lazim hai
meri fariyaad be-asar hi sahi
'arsh' be-gana-e-hunar to na rah
aib karne ka ek hunar hi sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.