tum nahin ho sath to sara jahan tanha lage
tum nahīñ ho saath to saarā jahāñ tanhā lage
ye zamīñ tanhā lage ye āsmāñ tanhā lage
jab se dil ko aa gayā tere na aane kā yaqīñ
hasratoñ kī bhiiḌ meñ ab ye makāñ tanhā lage
kaun jaane vahshat-e-dil ko hai kis kā intizār
haiñ hazāroñ phuul phir bhī gulsitāñ tanhā lage
shukr hai dard-e-mohabbat raas mujh ko aa gayā
zindagī kā ab koī lamha kahāñ tanhā lage
donoñ jānib ek hī manzar hai furqat meñ ayaañ
maiñ faqat tanhā nahīñ vo bhī vahāñ tanhā lage
ittihād-e-bāhamī jab se nahīñ hai ai 'mayank'
kārvāñ ke saath mīr-e-kārvāñ tanhā lage
tum nahin ho sath to sara jahan tanha lage
ye zamin tanha lage ye aasman tanha lage
jab se dil ko aa gaya tere na aane ka yaqin
hasraton ki bhiD mein ab ye makan tanha lage
kaun jaane wahshat-e-dil ko hai kis ka intizar
hain hazaron phul phir bhi gulsitan tanha lage
shukr hai dard-e-mohabbat ras mujh ko aa gaya
zindagi ka ab koi lamha kahan tanha lage
donon jaanib ek hi manzar hai furqat mein ayan
main faqat tanha nahin wo bhi wahan tanha lage
ittihad-e-bahami jab se nahin hai ai 'mayank'
karwan ke sath mir-e-karwan tanha lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.