tum nahin jaante wafa kya hai
tum nahīñ jānte vafā kyā hai
dard-e-dil ke liye davā kyā hai
jo jafākār hī rahe har dam
vo nahīñ jānte jafā kyā hai
shauq-e-dīdār hī rahā har dam
is jahāñ meñ magar milā kyā hai
har taraf rang hai fareb-e-nazar
jalva-gar us kī ye adā kyā hai
zindagī qaid-o-band hai shāyad
zindagī gar ye hai sazā kyā hai
ruuTh kar chal ga.e jahāñ se vo
zindagī tujh meñ ab dharā kyā hai
saare gulshan fasurda-sāmāñ haiñ
ġhunche ġhunche ko ab huā kyā hai
zindagī tujh se maiñ ne sīkhā hai
aarzū kyā hai mudda.ā kyā hai
tajrabe se huā hai ab ma.alūm
dahr kyā chiiz hai ḳhudā kyā hai
umr āḳhir ko aa ga.ī 'tashna'
jā tū ab bazm meñ rakhā kyā hai
tum nahin jaante wafa kya hai
dard-e-dil ke liye dawa kya hai
jo jafakar hi rahe har dam
wo nahin jaante jafa kya hai
shauq-e-didar hi raha har dam
is jahan mein magar mila kya hai
har taraf rang hai fareb-e-nazar
jalwa-gar us ki ye ada kya hai
zindagi qaid-o-band hai shayad
zindagi gar ye hai saza kya hai
ruTh kar chal gae jahan se wo
zindagi tujh mein ab dhara kya hai
sare gulshan fasurda-saman hain
ghunche ghunche ko ab hua kya hai
zindagi tujh se main ne sikha hai
aarzu kya hai muddaa kya hai
tajrabe se hua hai ab malum
dahr kya chiz hai KHuda kya hai
umr aaKHir ko aa gai 'tashna'
ja tu ab bazm mein rakha kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.