tumne chhoDa tha jahan yar wahin hain hum log
tum ne chhoḌā thā jahāñ yaar vahīñ haiñ ham log
ham ko honā thā kahīñ aur kahīñ haiñ ham log
raunaq-e-shahr-e-riyā ne hai jinheñ toḌ diyā
haañ unhīñ TuuTe makānoñ ke makīñ haiñ ham log
āsmāñ jin kī uḌānoñ ke liye kamtar hai
aise be-pāyāñ parindoñ kī zamīñ haiñ ham log
jaane vaalo mirā paiġhām ḳhudā ko denā
jā ke kahnā had-e-imkāñ meñ nahīñ haiñ ham log
ham ko ab roz na hone kā gumāñ hotā hai
roz ham ḳhud ko dilāte haiñ yaqīñ haiñ ham log
tum ne chhoDa tha jahan yar wahin hain hum log
hum ko hona tha kahin aur kahin hain hum log
raunaq-e-shahr-e-riya ne hai jinhen toD diya
han unhin TuTe makanon ke makin hain hum log
aasman jin ki uDanon ke liye kamtar hai
aise be-payan parindon ki zamin hain hum log
jaane walo mera paigham KHuda ko dena
ja ke kahna had-e-imkan mein nahin hain hum log
hum ko ab roz na hone ka guman hota hai
roz hum KHud ko dilate hain yaqin hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.