tumne dil ke diye bujhae hain
Interesting Fact
February 1953
tum ne dil ke diye bujhā.e haiñ
ham ġhamoñ ke charāġh laa.e haiñ
tum se ab ham gila kareñ bhī to kyā
ham ne ḳhud hī fareb khaa.e haiñ
saf-ba-saf raushnī ke parde meñ
zulmatoñ ke muhīb saa.e haiñ
tum ne mahloñ kī raushnī ke liye
kitne ma.asūm dil jalā.e haiñ
qatl jab bhī hue ḳhayāl mire
kaise kaise ḳhayāl aa.e haiñ
tum ne dil ke diye bujhae hain
hum ghamon ke charagh lae hain
tum se ab hum gila karen bhi to kya
hum ne KHud hi fareb khae hain
saf-ba-saf raushni ke parde mein
zulmaton ke muhib sae hain
tum ne mahlon ki raushni ke liye
kitne masum dil jalae hain
qatl jab bhi hue KHayal mere
kaise kaise KHayal aae hain
- Book : Harf-e-wafa (Pg. 122)
- Author : Parveen Fana Sayyad
- Publication : Maktaba Funoon, Lahore (1974)
- Edition : 1974
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.