tumne hathon pe mera nam likha mere baad
tum ne hāthoñ pe mirā naam likhā mere baa'd
merā har lafz banā rang-e-hinā mere baa'd
mere hone hī se thā us pe yaqīn-e-kāmil
kitnā be-faiz sā hai merā ḳhudā mere baa'd
kaun maiḳhāne kī tahzīb se vāqif the yahāñ
sab ko aa jā.egī piine kī adā mere baad
maiñ jo mahrūm-e-karam dar se tire lauTā huuñ
haath ab uThte nahīñ bahr-e-duā mere baa'd
mere hote jise kahte hue ḳhā.if the sabhī
zindagī ne vahī afsāna kahā mere baa'd
sarḳhushī raas na aa.ī jise hamrāh mire
jām-e-ġham pī ke vo shādāb huā mere baa'd
aaj bhī ḳhushk hai kāñToñ kī zabāñ ḳhāk-e-chaman
bhejnā phir se koī ābla-pā mere baad
koī aahaT hai na sargoshī na āvāz koī
kitnā tanhā hai ye sahrā-e-vafā mere baad
maiñ hī thā jo tirī tausīf kiyā kartā thā
ab 'ḳhalish' kaun kare terī sanā mere baa'd
tum ne hathon pe mera nam likha mere ba'd
mera har lafz bana rang-e-hina mere ba'd
mere hone hi se tha us pe yaqin-e-kaamil
kitna be-faiz sa hai mera KHuda mere ba'd
kaun maiKHane ki tahzib se waqif the yahan
sab ko aa jaegi pine ki ada mere baad
main jo mahrum-e-karam dar se tere lauTa hun
hath ab uThte nahin bahr-e-dua mere ba'd
mere hote jise kahte hue KHaif the sabhi
zindagi ne wahi afsana kaha mere ba'd
sarKHushi ras na aai jise hamrah mere
jam-e-gham pi ke wo shadab hua mere ba'd
aaj bhi KHushk hai kanTon ki zaban KHak-e-chaman
bhejna phir se koi aabla-pa mere baad
koi aahaT hai na sargoshi na aawaz koi
kitna tanha hai ye sahra-e-wafa mere baad
main hi tha jo teri tausif kiya karta tha
ab 'KHalish' kaun kare teri sana mere ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.