tumne jab mera liya nam tumhein kya malum
tum ne jab merā liyā naam tumheñ kyā mā'lūm
mujh pe kyā kyā lage ilzām tumheñ kyā mā'lūm
yuuñ mohabbat se sar-e-'ām na dekho mujh ko
log kar Dāleñge badnām tumheñ kyā mā'lūm
faisla jald meñ kar ke na yuuñ Thukrāo mujhe
paḌ hī jaatā hai koī kaam tumheñ kyā mā'lūm
sirf 'āshiq nahīñ pāgal nahīñ dīvāna nahīñ
us ne baḳhshe haiñ ka.ī naam tumheñ kyā mā'lūm
chāñd sharmā gayā taare bhī kashish kho baiThe
jab vo aa baiThe lab-e-bām tumheñ kyā mā'lūm
tum ne jab mera liya nam tumhein kya ma'lum
mujh pe kya kya lage ilzam tumhein kya ma'lum
yun mohabbat se sar-e-'am na dekho mujh ko
log kar Dalenge badnam tumhein kya ma'lum
faisla jald mein kar ke na yun Thukrao mujhe
paD hi jata hai koi kaam tumhein kya ma'lum
sirf 'ashiq nahin pagal nahin diwana nahin
us ne baKHshe hain kai nam tumhein kya ma'lum
chand sharma gaya tare bhi kashish kho baiThe
jab wo aa baiThe lab-e-baam tumhein kya ma'lum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.