tumne jab mujhse bichhaDne ki tamanna ki thi
tum ne jab mujh se bichhaḌne kī tamanna kī thī
maiñ ne tūfān se laḌne kī tamanna kī thī
āñdhiyāñ mere daraḳhtoñ ko girāne aa.iiñ
maiñ ne bhī dhuup se laḌne kī tamanna kī thī
phuul ko us se kudūrat hai to bas is liye hai
us ne titlī ko pakaḌne kī tamanna kī thī
baaġh ke peḌoñ kī is rūkhī tabī.at ke sabab
sabz pattoñ ne bhī jhaḌne kī tamanna kī thī
ghaas ko terī nazākat kā koī ilm na thā
bas tire paañv meñ paḌne kī tamanna kī thī
maiñ ne ik roz ḳhudāoñ kā takabbur toḌā
aur ḳhudā.ī ne akaḌne kī tamanna kī thī
mo'atabar Thahre mire des meñ jab be-hunare
maiñ ne us vaqt bigaḌne kī tamanna kī thī
usī parvāne ke dushman haiñ bahut se afrād
jis ne ik sham.a jakaḌne kī tamanna kī thī
aql ko maiñ ne kahīñ siine meñ girvī rakh kar
saarī duniyā ke ujaḌne kī tamanna kī thī
aap kahte haiñ to ḳhāmosh hī rahte haiñ ham
par ta.alluq ne jhagaḌne kī tamanna kī thī
baiza-e-chashm meñ ik roz samāne ke liye
puurī duniyā ne sukaḌne kī tamanna kī thī
tum ne jab mujh se bichhaDne ki tamanna ki thi
main ne tufan se laDne ki tamanna ki thi
aandhiyan mere daraKHton ko girane aain
main ne bhi dhup se laDne ki tamanna ki thi
phul ko us se kudurat hai to bas is liye hai
us ne titli ko pakaDne ki tamanna ki thi
bagh ke peDon ki is rukhi tabiat ke sabab
sabz patton ne bhi jhaDne ki tamanna ki thi
ghas ko teri nazakat ka koi ilm na tha
bas tere panw mein paDne ki tamanna ki thi
main ne ek roz KHudaon ka takabbur toDa
aur KHudai ne akaDne ki tamanna ki thi
mo'atabar Thahre mere des mein jab be-hunare
main ne us waqt bigaDne ki tamanna ki thi
usi parwane ke dushman hain bahut se afrad
jis ne ek shama jakaDne ki tamanna ki thi
aql ko main ne kahin sine mein girwi rakh kar
sari duniya ke ujaDne ki tamanna ki thi
aap kahte hain to KHamosh hi rahte hain hum
par talluq ne jhagaDne ki tamanna ki thi
baiza-e-chashm mein ek roz samane ke liye
puri duniya ne sukaDne ki tamanna ki thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.