tumne jo kiya pesh wo gul-dan bahut hai
tum ne jo kiyā pesh vo gul-dān bahut hai
ye rasm-o-rah-e-ḳhās mirī jaan bahut hai
anjān huā jaatā huuñ maiñ kis liye ḳhud se
shāyad ki mirī shahr meñ pahchān bahut hai
hushiyār hai jo chiiz muqayyad hai vo sar meñ
āzād hai jo siine meñ nādān bahut hai
dil ko maiñ hirāsat se tirī kaise chhuḌā.ūñ
matlūb hai jo mujh se vo tāvān bahut hai
kis ḳhushk ilāqe pe paḌī hai nazar us kī
kyā baat hai jo abr pareshān bahut hai
mushkil hai bahut aa.ine meñ dekhnā ḳhud ko
maiñ to ye samajhtā thā ki āsān bahut hai
ustād-e-suḳhan kī nahīñ ai 'badr' zarūrat
ho sāmne jo 'mīr' kā dīvān bahut hai
tum ne jo kiya pesh wo gul-dan bahut hai
ye rasm-o-rah-e-KHas meri jaan bahut hai
anjaan hua jata hun main kis liye KHud se
shayad ki meri shahr mein pahchan bahut hai
hushiyar hai jo chiz muqayyad hai wo sar mein
aazad hai jo sine mein nadan bahut hai
dil ko main hirasat se teri kaise chhuDaun
matlub hai jo mujh se wo tawan bahut hai
kis KHushk ilaqe pe paDi hai nazar us ki
kya baat hai jo abr pareshan bahut hai
mushkil hai bahut aaine mein dekhna KHud ko
main to ye samajhta tha ki aasan bahut hai
ustad-e-suKHan ki nahin ai 'badr' zarurat
ho samne jo 'mir' ka diwan bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.