tumne jo qurbaton mein ye rakkha hai fasla
tum ne jo qurbatoñ meñ ye rakkhā hai fāsla
kuchh der kā agar hai to achchhā hai fāsla
ḳhud se mile hue hameñ arsa guzar gayā
ham ne bahut qarīb se dekhā hai fāsla
badle haiñ ishq ne bhī azal se hazār rang
koshish ho qurbatoñ kī to baḌhtā hai fāsla
do hī sabab haiñ girya ke tum se haiñ munsalik
pahlā tumhārā rabt hai duujā hai fāsla
jab se mile haiñ tum se isī kashmakash meñ haiñ
dhokā ye qurbateñ haiñ yā dhokā hai fāsla
bistar ke ek chhor pe tum ho aur ik pe maiñ
kam dikh rahā hai par baḌā lambā hai fāsla
ye zindagī tabhī to dikhātī hai apne rang
jab jab hamāre biich meñ ghaTtā hai fāsla
dikhtā hai us kā aks hī har shakl meñ mujhe
us ne ajiib Dhang se bartā hai fāsla
tum ne jo qurbaton mein ye rakkha hai fasla
kuchh der ka agar hai to achchha hai fasla
KHud se mile hue hamein arsa guzar gaya
hum ne bahut qarib se dekha hai fasla
badle hain ishq ne bhi azal se hazar rang
koshish ho qurbaton ki to baDhta hai fasla
do hi sabab hain girya ke tum se hain munsalik
pahla tumhaara rabt hai duja hai fasla
jab se mile hain tum se isi kashmakash mein hain
dhoka ye qurbaten hain ya dhoka hai fasla
bistar ke ek chhor pe tum ho aur ek pe main
kam dikh raha hai par baDa lamba hai fasla
ye zindagi tabhi to dikhati hai apne rang
jab jab hamare bich mein ghaTta hai fasla
dikhta hai us ka aks hi har shakl mein mujhe
us ne ajib Dhang se barta hai fasla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.