tumne kaha to kar liya warna nahin kiya
tum ne kahā to kar liyā varna nahīñ kiyā
ham ne tumhāre vāste kyā kyā nahīñ kiyā
kis kis se muñh chhupāte phireñ ham tumhāre ba.ad
tum ne kahāñ kahāñ hameñ rusvā nahīñ kiyā
us ne kahā ki kaam mukammal karo chaleñ
aur maiñ ne jaldī jaldī meñ saarā nahīñ kiyā
aaj apne intiḳhāb pe sharmindagī huī
us ne to baat karnā gavāra nahīñ kiyā
'ahmad' ko is tarah nazar-andāz mat karo
phir ba.ad meñ na kahnā ki achchhā nahīñ kiyā
tum ne kaha to kar liya warna nahin kiya
hum ne tumhaare waste kya kya nahin kiya
kis kis se munh chhupate phiren hum tumhaare baad
tum ne kahan kahan hamein ruswa nahin kiya
us ne kaha ki kaam mukammal karo chalen
aur main ne jaldi jaldi mein sara nahin kiya
aaj apne intiKHab pe sharmindagi hui
us ne to baat karna gawara nahin kiya
'ahmad' ko is tarah nazar-andaz mat karo
phir baad mein na kahna ki achchha nahin kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.