tumne mahsus kahan meri zarurat ki hai
tum ne mahsūs kahāñ merī zarūrat kī hai
mere jazboñ kī kahāñ tum ne himāyat kī hai
haal pūchhā na kisī ne mere aañsū poñchhe
kyā kisī se bhī nahīñ maiñ ne mohabbat kī hai
ḳhush thī maiñ chhoTe se ghar meñ bhī tire pyaar ke saath
maiñ ne kab tujh se kisī mahl kī chāhat kī hai
sochtī huuñ maiñ yahī baiTh ke tanhā.ī meñ
kyā yaqīñ kar ke tirā maiñ ne himāqat kī hai
aaj phir shahr meñ uTThegā koī hañgāma
aaj sach kahne kī ik shaḳhs ne jur.at kī hai
kitnā roī huuñ tire ba.ad tujhe kyā ma.alūm
maiñ ne lamhoñ kī adā is tarah qīmat kī hai
kis tarah miltā 'siyā' saare zamāne se mizāj
baat kuchh aur nahīñ baat tabī.at kī hai
tum ne mahsus kahan meri zarurat ki hai
mere jazbon ki kahan tum ne himayat ki hai
haal puchha na kisi ne mere aansu ponchhe
kya kisi se bhi nahin main ne mohabbat ki hai
KHush thi main chhoTe se ghar mein bhi tere pyar ke sath
main ne kab tujh se kisi mahl ki chahat ki hai
sochti hun main yahi baiTh ke tanhai mein
kya yaqin kar ke tera main ne himaqat ki hai
aaj phir shahr mein uTThega koi hangama
aaj sach kahne ki ek shaKHs ne jurat ki hai
kitna roi hun tere baad tujhe kya malum
main ne lamhon ki ada is tarah qimat ki hai
kis tarah milta 'siya' sare zamane se mizaj
baat kuchh aur nahin baat tabiat ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.