tumne mujhko waqfa kah ke chhoD diya tha
tum ne mujh ko vaqfa kah ke chhoḌ diyā thā
maiñ ne bilkul nayā anāsir feel kiyā hai
ġhaur karo to ham ne bas shurūāt hī ki hai
abhī to bas apne hī jahāñ ko seal kiyā hai
'mīr' taqī ne maut ko vaqfa Thahrāyā aur
achchhī ḳhāsī ravāñ nadī ko jhiil kiyā hai
socho ham sab aur bhī kyā kyā kar sakte haiñ
ham ne seb ko duniyā meñ tabdīl kiyā hai
pahlī Thokar ke patthar ne raah badal dī
so ab ke ik chamak ko sang-e-mīl kiyā hai
tum ne mujh ko waqfa kah ke chhoD diya tha
main ne bilkul naya anasir feel kiya hai
ghaur karo to hum ne bas shuruat hi ki hai
abhi to bas apne hi jahan ko seal kiya hai
'mir' taqi ne maut ko waqfa Thahraya aur
achchhi KHasi rawan nadi ko jhil kiya hai
socho hum sab aur bhi kya kya kar sakte hain
hum ne seb ko duniya mein tabdil kiya hai
pahli Thokar ke patthar ne rah badal di
so ab ke ek chamak ko sang-e-mil kiya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.