tumne puchha to bata deti hun kyon tha yun tha
tum ne pūchhā to batā detī huuñ kyoñ thā yuuñ thā
sabab-e-tark-e-mohabbat bhī junūñ thā yuuñ thā
tum ne aañsū jinheñ samjhā thā nahīñ the aañsū
merī āñkhoñ se jo niklā thā vo ḳhuuñ thā yuuñ thā
is liye tum ne bhī shāyad mirī tauqīr na kī
mujh meñ jo shaḳhs darūñ thā vo barūñ thā yuuñ thā
yaar ab tum hī mire haq meñ gavāhī de do
varna kis kis ko batā.ūñgī maiñ yuuñ thā yuuñ thā
aur bhaḌak jaatī thī siine meñ terī yaad kī aag
sabab-e-bāda-kashī terā fusūñ thā yuuñ thā
aur kuchh vaj.h nahīñ thī mirī ḳhāmoshī kī
dil ko tanhā.ī ke aalam meñ sukūñ thā yuuñ thā
maiñ lagātār kiyā kartī thī ulfat ke savāl
us kī jānib se 'shikhā' haañ thā na huuñ thā yuuñ thā
tum ne puchha to bata deti hun kyon tha yun tha
sabab-e-tark-e-mohabbat bhi junun tha yun tha
tum ne aansu jinhen samjha tha nahin the aansu
meri aankhon se jo nikla tha wo KHun tha yun tha
is liye tum ne bhi shayad meri tauqir na ki
mujh mein jo shaKHs darun tha wo barun tha yun tha
yar ab tum hi mere haq mein gawahi de do
warna kis kis ko bataungi main yun tha yun tha
aur bhaDak jati thi sine mein teri yaad ki aag
sabab-e-baada-kashi tera fusun tha yun tha
aur kuchh wajh nahin thi meri KHamoshi ki
dil ko tanhai ke aalam mein sukun tha yun tha
main lagatar kiya karti thi ulfat ke sawal
us ki jaanib se 'shikha' han tha na hun tha yun tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.