tumne sikha hai agar sirf hukumat karna
tum ne sīkhā hai agar sirf hukūmat karnā
yaad rakhnā hameñ aatā hai baġhāvat karnā
donoñ maidānoñ meñ apnā nahīñ saanī koī
ham se tum soch ke nafrat yā mohabbat karnā
ḳhud sikhā.e the jise ham ne ye ulfat-ādāb
ab ye lāzim hai khule us pe adāvat karnā
ḳhud-baḳhud log biThā.eñge tumheñ palkoñ par
pahle ḳhud siikh to lo auroñ kī izzat karnā
gar nahīñ rañj mujhe us se bichhaḌne kā to phir
aaj tak kyoñ nahīñ bhūlā use ruḳhsat karnā
tum ne sikha hai agar sirf hukumat karna
yaad rakhna hamein aata hai baghawat karna
donon maidanon mein apna nahin sani koi
hum se tum soch ke nafrat ya mohabbat karna
KHud sikhae the jise hum ne ye ulfat-adab
ab ye lazim hai khule us pe adawat karna
KHud-baKHud log biThaenge tumhein palkon par
pahle KHud sikh to lo auron ki izzat karna
gar nahin ranj mujhe us se bichhaDne ka to phir
aaj tak kyon nahin bhula use ruKHsat karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.