tumne sikha hai kahan se sab ko TarKHane ka Dhang
tum ne sīkhā hai kahāñ se sab ko Tarḳhāne kā Dhang
aadmī to aadmī hai rab ko bahkāne kā Dhang
baat ho ruḳhsat kī tum sā koī bhī faa.iq nahīñ
tum na jaano ġham-zadoñ ke ḳhvāb meñ aane kā Dhang
sālhā sajde kiye tum ko bulāne ke liye
jānte ho tum magar pal meñ chale jaane kā Dhang
vasl ke va.adoñ se liiñ murshid ne to shīrīniyāñ
jāntā lekin nahīñ hai ab vo milvāne kā Dhang
but-kade meñ kyoñ na maiñ chūmūñ qadam asnām ke
kārgar kitnā hai terā paañv dīvāne kā Dhang
saañp ke mānind jis lai pe ho tum jānam fidā
koī to ham ko sikhā.e vo kabhī gaane kā Dhang
dil jalānā rūThnā phabtī uḌānā kosnā
kis se sīkhā hai ye tū ne ḳhud ko bahlāne kā Dhang
ai sarāpā-nāz ban jaatī hai tū to sāhira
vaah kitnā hai muassir tere sharmāne kā Dhang
tum ne sikha hai kahan se sab ko TarKHane ka Dhang
aadmi to aadmi hai rab ko bahkane ka Dhang
baat ho ruKHsat ki tum sa koi bhi faiq nahin
tum na jaano gham-zadon ke KHwab mein aane ka Dhang
salha sajde kiye tum ko bulane ke liye
jaante ho tum magar pal mein chale jaane ka Dhang
wasl ke wadon se lin murshid ne to shiriniyan
jaanta lekin nahin hai ab wo milwane ka Dhang
but-kade mein kyon na main chumun qadam asnam ke
kargar kitna hai tera panw diwane ka Dhang
sanp ke manind jis lai pe ho tum jaanam fida
koi to hum ko sikhae wo kabhi gane ka Dhang
dil jalana ruThna phabti uDana kosna
kis se sikha hai ye tu ne KHud ko bahlane ka Dhang
ai sarapa-naz ban jati hai tu to sahira
wah kitna hai muassir tere sharmane ka Dhang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.