tumne to qasd-e-safar jaana tha
tum ne to qasd-e-safar jaanā thā
tum ko duniyā se guzar jaanā thā
yuuñ na ḳhushbū ko bikhar jaanā thā
ḳhema-e-gul meñ Thahar jaanā thā
rang kī tarah the dīvār pe ham
ik na ik roz utar jaanā thā
vo to utre hī nahīñ paanī meñ
Duub kar jin ko ubhar jaanā thā
is liye khol diyā raḳht-e-safar
jis taraf sab the udhar jaanā thā
fikr thī dil meñ na ehsās na ġham
aise aalam meñ to mar jaanā thā
sirf dastār ga.ī ḳhush haiñ sabhī
jab-ki shāne se ye sar jaanā thā
luT gayā dil kī ḳharīdārī meñ
ḳhisht ko jis ne guhar jaanā thā
qaid-e-ġham se na rihā.ī paa.ī
jis ne dīvār ko dar jaanā thā
tanz ke tiir se jo dil pe lagā
hai agar zaḳhm to bhar jaanā thā
ho ga.ī raat karūñ kyā 'ash.har'
shaam se pahle hī ghar jaanā thā
tum ne to qasd-e-safar jaana tha
tum ko duniya se guzar jaana tha
yun na KHushbu ko bikhar jaana tha
KHema-e-gul mein Thahar jaana tha
rang ki tarah the diwar pe hum
ek na ek roz utar jaana tha
wo to utre hi nahin pani mein
Dub kar jin ko ubhar jaana tha
is liye khol diya raKHt-e-safar
jis taraf sab the udhar jaana tha
fikr thi dil mein na ehsas na gham
aise aalam mein to mar jaana tha
sirf dastar gai KHush hain sabhi
jab-ki shane se ye sar jaana tha
luT gaya dil ki KHaridari mein
KHisht ko jis ne guhar jaana tha
qaid-e-gham se na rihai pai
jis ne diwar ko dar jaana tha
tanz ke tir se jo dil pe laga
hai agar zaKHm to bhar jaana tha
ho gai raat karun kya 'ashhar'
sham se pahle hi ghar jaana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.