tumne zara si baat suni aur ro diye
tum ne zarā sī baat sunī aur ro diye
ik ham haiñ apnī āñkhoñ meñ dariyā Dubo diye
do gaam hī chale the mohabbat kī raah meñ
duniyā ne dushmanī ke liye biij bo diye
ḳhanjar chhupā leñ aap bhī ab āstīn meñ
dhabbe lahū ke ham ne bhī dāman se dho diye
tūfāñ kī shiddatoñ se bachā laa.e the magar
sāhil pe aa ke ham ne safīne Dubo diye
vo be-qusūr the to havā se ye pūchhiye
phir kyoñ bujhā diyā unheñ raushan the jo diye
tum ne zara si baat suni aur ro diye
ek hum hain apni aankhon mein dariya Dubo diye
do gam hi chale the mohabbat ki rah mein
duniya ne dushmani ke liye bij bo diye
KHanjar chhupa len aap bhi ab aastin mein
dhabbe lahu ke hum ne bhi daman se dho diye
tufan ki shiddaton se bacha lae the magar
sahil pe aa ke hum ne safine Dubo diye
wo be-qusur the to hawa se ye puchhiye
phir kyon bujha diya unhen raushan the jo diye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.