tum pasina mat kaho hai jaan-fishani ka libas
tum pasīna mat kaho hai jāñ-fishānī kā libās
dhuup meñ chalte hue rakhte haiñ paanī kā libās
parda-poshī kam se kam hotī hai har kirdār kī
pairahan lafzoñ kā bantā hai kahānī kā libās
phir ujāle se safar hogā añdhere kī taraf
jab utāreñge badan se umr-e-fānī kā libās
saath chalte haiñ chahakte bolte ilzām bhī
be-shikan hotā nahīñ yaaro javānī kā libās
inqilāb-e-vaqt kā ye bhī karishma dekhiye
hai numā.ish ke liye ab āñ-jahānī kā libās
muflisī ne kar diyā hai us kī ḳhuddārī kā ḳhuun
vo pahantā hai kisī kī mehrbānī kā libās
hukmarāñ to dafn haiñ tārīḳh ke aurāq meñ
dars-e-ibrat de rahā hai hukmrānī kā libās
jagmagātā hai ġhazal ke jism par har daur meñ
mailā hotā hī nahīñ jādū-bayānī kā libās
chand sā'at bhī ḳhushī kī apnī qismat meñ kahāñ
raas kab aayā hai mujh ko shādmānī kā libās
'ramz' vo ahd-e-ġhulāmī ho ki daur-e-hurriyat
ishtihār-e-muflisī hindustānī kā libās
tum pasina mat kaho hai jaan-fishani ka libas
dhup mein chalte hue rakhte hain pani ka libas
parda-poshi kam se kam hoti hai har kirdar ki
pairahan lafzon ka banta hai kahani ka libas
phir ujale se safar hoga andhere ki taraf
jab utarenge badan se umr-e-fani ka libas
sath chalte hain chahakte bolte ilzam bhi
be-shikan hota nahin yaro jawani ka libas
inqilab-e-waqt ka ye bhi karishma dekhiye
hai numaish ke liye ab aan-jahani ka libas
muflisi ne kar diya hai us ki KHuddari ka KHun
wo pahanta hai kisi ki mehrbani ka libas
hukmaran to dafn hain tariKH ke auraq mein
dars-e-ibrat de raha hai hukmrani ka libas
jagmagata hai ghazal ke jism par har daur mein
maila hota hi nahin jadu-bayani ka libas
chand sa'at bhi KHushi ki apni qismat mein kahan
ras kab aaya hai mujh ko shadmani ka libas
'ramz' wo ahd-e-ghulami ho ki daur-e-hurriyat
ishtihaar-e-muflisi hindustani ka libas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.