tum raunaq-e-hayat the jab tum nahin rahe
tum raunaq-e-hayāt the jab tum nahīñ rahe
hoñToñ pe vo guzishta tabassum nahīñ rahe
insāñ kahāñ bache jo mohabbat fanā huī
ya.anī sharāb ḳhatm huī ḳhum nahīñ rahe
achchhā huā ki chhoḌ diyā aap ne hameñ
achchhā huā ki ham abhī gum-sum nahīñ rahe
honā na honā apnā barābar hai dosto
ham tum yuuñ rah ga.e haiñ ki ham tum nahīñ rahe
yādash-ba-ḳhair gaañv kī tāroñ bharī vo raat
is raushnī ke shahr meñ anjum nahīñ rahe
tum raunaq-e-hayat the jab tum nahin rahe
honTon pe wo guzishta tabassum nahin rahe
insan kahan bache jo mohabbat fana hui
yani sharab KHatm hui KHum nahin rahe
achchha hua ki chhoD diya aap ne hamein
achchha hua ki hum abhi gum-sum nahin rahe
hona na hona apna barabar hai dosto
hum tum yun rah gae hain ki hum tum nahin rahe
yaadash-ba-KHair ganw ki taron bhari wo raat
is raushni ke shahr mein anjum nahin rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.