tum salamat raho wahshat-e-jaan se kya kuchh hawa-e-zamistan hi bahlaegi
tum salamat raho wahshat-e-jaan se kya kuchh hawa-e-zamistan hi bahlaegi
Aziz Hamid Madni
MORE BYAziz Hamid Madni
tum salāmat raho vahshat-e-jāñ se kyā kuchh havā-e-zamistāñ hī bahlā.egī
marg-e-ushshāq arzāñ huī bhī to kyā mausam-e-gul meñ taaza havā aa.egī
jis ke kuuze ke paanī se dozaḳh bujhe aur añgīThī ke sho.ale se jannat jale
koī aisā ho gar sāhibān-e-haram kaam is vaqt us kī misāl aa.egī
chāk-e-dāmāñ se hai jo bahār āshkār us pe daur-e-ḳhizāñ kā tasallut nahīñ
ik tasavvur numū kā bhī hai kārgar shāḳh-e-gul aap siine meñ lahrā.egī
tum kaho to chalā jā.ūñ is shahr se is fazā meñ halākat hai jaagī huī
saare hāñke meñ bhāge hue jānvar ye havā ye sadā dil ko khā jā.egī
raat kī ye havā narm aisī ki bas niiñd kī ek chaḌhtī huī bel meñ
jāgtī aañkh meñ bhī jo khilte raheñ phuul aise hazāroñ khilā jā.egī
mar gayā 'madnī'-e-ḳhush-navā raah meñ jāntā thā sar-e-dasht ik raushnī
is se pahle ki manzil koī aa sake paañv sun kar ke marg-e-junūñ lā.egī
tum salamat raho wahshat-e-jaan se kya kuchh hawa-e-zamistan hi bahlaegi
marg-e-ushshaq arzan hui bhi to kya mausam-e-gul mein taza hawa aaegi
jis ke kuze ke pani se dozaKH bujhe aur angiThi ke shoale se jannat jale
koi aisa ho gar sahiban-e-haram kaam is waqt us ki misal aaegi
chaak-e-daman se hai jo bahaar aashkar us pe daur-e-KHizan ka tasallut nahin
ek tasawwur numu ka bhi hai kargar shaKH-e-gul aap sine mein lahraegi
tum kaho to chala jaun is shahr se is faza mein halakat hai jagi hui
sare hanke mein bhage hue jaanwar ye hawa ye sada dil ko kha jaegi
raat ki ye hawa narm aisi ki bas nind ki ek chaDhti hui bel mein
jagti aankh mein bhi jo khilte rahen phul aise hazaron khila jaegi
mar gaya 'madni'-e-KHush-nawa rah mein jaanta tha sar-e-dasht ek raushni
is se pahle ki manzil koi aa sake panw sun kar ke marg-e-junun laegi
- Book : غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 232)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.