tum se agar mile wo kahna udas hun main
tum se agar mile vo kahnā udaas huuñ maiñ
jitnā udaas hai vo utnā udaas huuñ maiñ
us ko bhī dekh kar ye dil ḳhush nahīñ huā hai
is baat se samajh lo kitnā udaas huuñ maiñ
vo jab mujhe milā thā itnī ḳhushī nahīñ thī
khone ke baad us ko jitnā udaas huuñ maiñ
merī ḳhushī kī ḳhātir chhoḌī hai jis ne duniyā
ik ḳhat use likho tum likhnā udaas huuñ maiñ
jo chhoḌ kar ga.e haiñ ik baat vo bhī sun leñ
tanhā nahīñ huuñ ab bhī maanā udaas huuñ maiñ
tum se agar mile wo kahna udas hun main
jitna udas hai wo utna udas hun main
us ko bhi dekh kar ye dil KHush nahin hua hai
is baat se samajh lo kitna udas hun main
wo jab mujhe mila tha itni KHushi nahin thi
khone ke baad us ko jitna udas hun main
meri KHushi ki KHatir chhoDi hai jis ne duniya
ek KHat use likho tum likhna udas hun main
jo chhoD kar gae hain ek baat wo bhi sun len
tanha nahin hun ab bhi mana udas hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.