tum se bichhaD gae to kisi se mile na hum
tum se bichhaḌ ga.e to kisī se mile na ham
mil bhī liye kisī se to jī se mile na ham
vo āñsuoñ ko apnī hañsī meñ chhupā gayā
jis se gale mile the usī se mile na ham
barsoñ ke baa'd aa.e to duniyā badal ga.ī
apnī galī meñ apnī galī se mile na ham
dil ko vo ġham milā hai mohabbat ke naam par
us bevafā ke baa'd kisī se mile na ham
kuchh is tarah se ġham kā nasha raas aa gayā
aa.ī kabhī ḳhushī to ḳhushī se mile na ham
'qaisar' huī na ham se dikhāve kī dostī
kāġhaz ke phuul le ke kisī se mile na ham
tum se bichhaD gae to kisi se mile na hum
mil bhi liye kisi se to ji se mile na hum
wo aansuon ko apni hansi mein chhupa gaya
jis se gale mile the usi se mile na hum
barson ke ba'd aae to duniya badal gai
apni gali mein apni gali se mile na hum
dil ko wo gham mila hai mohabbat ke nam par
us bewafa ke ba'd kisi se mile na hum
kuchh is tarah se gham ka nasha ras aa gaya
aai kabhi KHushi to KHushi se mile na hum
'qaisar' hui na hum se dikhawe ki dosti
kaghaz ke phul le ke kisi se mile na hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.