tum se bichhaD ke hansta-gata shahr laga ban-bas mujhe
tum se bichhaD ke hansta-gata shahr laga ban-bas mujhe
Jalees Najeebabadi
MORE BYJalees Najeebabadi
tum se bichhaḌ ke hañstā-gātā shahr lagā ban-bās mujhe
nāgin ban kar Dastā hai tanhā.ī kā ehsās mujhe
hoñToñ kā amrit chāhā thā tanhā.ī kā zahr milā
galiyoñ galiyoñ liye phirī rātoñ ko man kī pyaas mujhe
maiñ kab kā jhūTī rasmoñ ke bandhan toḌ ke aa jaatā
lekin rok rahā hai terī rusvā.ī kā paas mujhe
mere lab par talḳh haqā.eq mere lab par pyaar ke giit
tujh ko sukh kī sej milī hai aur hujūm-e-yās mujhe
tum ko pā kar dil ke āñgan meñ aashā ke phuul khile
aaj tumhārā mahkā-mahkā jism lagā madhumās mujhe
tum se bichhaD ke hansta-gata shahr laga ban-bas mujhe
nagin ban kar Dasta hai tanhai ka ehsas mujhe
honTon ka amrit chaha tha tanhai ka zahr mila
galiyon galiyon liye phiri raaton ko man ki pyas mujhe
main kab ka jhuTi rasmon ke bandhan toD ke aa jata
lekin rok raha hai teri ruswai ka pas mujhe
mere lab par talKH haqaeq mere lab par pyar ke git
tujh ko sukh ki sej mili hai aur hujum-e-yas mujhe
tum ko pa kar dil ke aangan mein aasha ke phul khile
aaj tumhaara mahka-mahka jism laga madhumas mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.