tum se bichhDenge to bolo na kidhar jaenge
tum se bichhḌeñge to bolo na kidhar jā.eñge
ghar bhī kāTegā agar lauT ke ghar jā.eñge
toḌ kar rasm-e-mohabbat ko agar jā.eñge
ḳhud zamāne kī nigāhoñ se utar jā.eñge
ham ko tanhā.ī ke ādāb sikhā do varna
ek do roz meñ tanhā.ī se mar jā.eñge
imtihāñ tū ne ka.ī baar liye haiñ ham se
kyā samajhtā hai tire ḳhauf se Dar jā.eñge
naaz thā jin kī vafāoñ pe hameñ ai 'ābid'
kyā ḳhabar thī ki mohabbat se mukar jā.eñge
tum se bichhDenge to bolo na kidhar jaenge
ghar bhi kaTega agar lauT ke ghar jaenge
toD kar rasm-e-mohabbat ko agar jaenge
KHud zamane ki nigahon se utar jaenge
hum ko tanhai ke aadab sikha do warna
ek do roz mein tanhai se mar jaenge
imtihan tu ne kai bar liye hain hum se
kya samajhta hai tere KHauf se Dar jaenge
naz tha jin ki wafaon pe hamein ai 'abid'
kya KHabar thi ki mohabbat se mukar jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.