tum se koi gila nahin hota
tum se koī gila nahīñ hotā
ham ko apnā kahā nahīñ hotā
ham ko kyā shauq thā gunāhoñ kā
bāb-e-rahmat jo vā nahīñ hotā
pūchhte kyā ho 'ishq kā anjām
kaash dil mubtalā nahīñ hotā
dil jo hotā hai mā.il-e-duniyā
mūjib-e-irtiqā nahīñ hotā
ek aisī nazar bhī hotī hai
jis meñ achchhā-burā nahīñ hotā
yuuñ to vo dil ke paas rahte haiñ
āmnā-sāmnā nahīñ hotā
jis kī hotī hai māl-o-zar pe nazar
vo kisī kā sagā nahīñ hotā
ham ḳhudā ko talāsh karte haiñ
jo mile vo ḳhudā nahīñ hotā
jis se nazreñ vo pher lete haiñ
āshnā-e-'shifā' nahīñ hotā
tum se koi gila nahin hota
hum ko apna kaha nahin hota
hum ko kya shauq tha gunahon ka
bab-e-rahmat jo wa nahin hota
puchhte kya ho 'ishq ka anjam
kash dil mubtala nahin hota
dil jo hota hai mail-e-duniya
mujib-e-irtiqa nahin hota
ek aisi nazar bhi hoti hai
jis mein achchha-bura nahin hota
yun to wo dil ke pas rahte hain
aamna-samna nahin hota
jis ki hoti hai mal-o-zar pe nazar
wo kisi ka saga nahin hota
hum KHuda ko talash karte hain
jo mile wo KHuda nahin hota
jis se nazren wo pher lete hain
aashna-e-'shifa' nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.