tum se mil kar nihayat hasin ho gai
tum se mil kar nihāyat hasīñ ho ga.ī
zindagī dilkash-o-dil-nashīñ ho ga.ī
chāhatoñ kī masāfat kā mat pochhiye
din kahīñ ho gayā shab kahīñ ho ga.ī
vo mohabbat ki jis kā yaqīñ thā bahut
ek lamhe meñ vo be-yaqīñ ho ga.ī
vaqt ne vo dikhāyā karishma ki bas
haañ meñ tabdīl us kī nahīñ ho ga.ī
rang mausam ne badle ajab taur se
sub.h kī dhuup bhī surmagīñ ho ga.ī
'shāziya' āstāñ vo mohabbat kā hai
jis se mansūb terī jabīñ ho ga.ī
tum se mil kar nihayat hasin ho gai
zindagi dilkash-o-dil-nashin ho gai
chahaton ki masafat ka mat pochhiye
din kahin ho gaya shab kahin ho gai
wo mohabbat ki jis ka yaqin tha bahut
ek lamhe mein wo be-yaqin ho gai
waqt ne wo dikhaya karishma ki bas
han mein tabdil us ki nahin ho gai
rang mausam ne badle ajab taur se
subh ki dhup bhi surmagin ho gai
'shaziya' aastan wo mohabbat ka hai
jis se mansub teri jabin ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.