tum se qad mein bahut hi chhoTa hun
tum se qad meñ bahut hī chhoTā huuñ
is liye chaar zaanū baiThā huuñ
shahr kā shahr jal gayā haa.e
mar ga.e sab faqat maiñ zinda huuñ
haath meñ tere haath merā hai
maiñ tire saath kitnā jachtā huuñ
tum rubā'ī kā āḳhirī misra'
nazm kā maiñ izāfī TukḌā huuñ
is pe jamhūr kā huā ijmā’
tū samundar hai aur maiñ dariyā huuñ
hai tire vāste ye ḳhush-ḳhabarī
maiñ tujhe apnā dil de baiThā huuñ
maiñ hī huuñ apne aap kā bāġhī
maiñ mubārak ghaḌī meñ sotā huuñ
pā liyā vasl meñ bhī ḳhuub mazā
hijr kā phir bhī dil se shaidā huuñ
tū agar kahtā hai ba'īd hai tū
phir maiñ kis ke qarīb hotā huuñ
mujh ko behad sukūn miltā hai
jab bhī maiñ tere ġham meñ rotā huuñ
mujh ko kahte haiñ ‘murtazā-bismil'
vādī-e-kāshmir meñ rahtā huuñ
tum se qad mein bahut hi chhoTa hun
is liye chaar zanu baiTha hun
shahr ka shahr jal gaya hae
mar gae sab faqat main zinda hun
hath mein tere hath mera hai
main tere sath kitna jachta hun
tum ruba'i ka aaKHiri misra'
nazm ka main izafi TukDa hun
is pe jamhur ka hua ijma’
tu samundar hai aur main dariya hun
hai tere waste ye KHush-KHabari
main tujhe apna dil de baiTha hun
main hi hun apne aap ka baghi
main mubarak ghaDi mein sota hun
pa liya wasl mein bhi KHub maza
hijr ka phir bhi dil se shaida hun
tu agar kahta hai ba'id hai tu
phir main kis ke qarib hota hun
mujh ko behad sukun milta hai
jab bhi main tere gham mein rota hun
mujh ko kahte hain ‘murtaza-bismil'
wadi-e-kashmir mein rahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.