tum se rah-o-rasm baDha kar diwane kahlaen kyun
tum se rah-o-rasm baDha kar diwane kahlaen kyun
Kafeel Aazar Amrohvi
MORE BYKafeel Aazar Amrohvi
tum se rāh-o-rasm baḌhā kar dīvāne kahlā.eñ kyuuñ
jin galiyoñ meñ patthar barseñ un galiyoñ meñ jaa.eñ kyuuñ
vaise hī tārīk bahut haiñ lamhe ġham kī rātoñ ke
phir mere ḳhvāboñ meñ yaaro vo gesū lahrā.eñ kyuuñ
majbūroñ kī is bastī meñ kis se pūchheñ kaun batā.e
apnā mohalla bhuul ga.ī haiñ be-chārī lailā.eñ kyuuñ
mustaqbil se aas bahut hai mustaqil kaisā bhī ho
maazī kis ke kaam aayā hai maazī ko dohrā.eñ kyuuñ
haañ ham ne bhī aaj kisī kā nāzuk sā dil toḌā hai
shahr-e-vafā kī rasm yahī hai ham is par sharmā.eñ kyuuñ
khiḌkī khiḌkī sannāTā hai chilman chilman tanhā.ī
chāhat kī mahfil meñ ab ham naqd-e-dil-o-jāñ laa.eñ kyuuñ
va.adoñ ke jañgal meñ 'āzar' ham to barsoñ bhaTke haiñ
aap kareñ kyuuñ dil pe bharosa aap ye dhoka khā.eñ kyuuñ
tum se rah-o-rasm baDha kar diwane kahlaen kyun
jin galiyon mein patthar barsen un galiyon mein jaen kyun
waise hi tarik bahut hain lamhe gham ki raaton ke
phir mere KHwabon mein yaro wo gesu lahraen kyun
majburon ki is basti mein kis se puchhen kaun batae
apna mohalla bhul gai hain be-chaari lailaen kyun
mustaqbil se aas bahut hai mustaqil kaisa bhi ho
mazi kis ke kaam aaya hai mazi ko dohraen kyun
han hum ne bhi aaj kisi ka nazuk sa dil toDa hai
shahr-e-wafa ki rasm yahi hai hum is par sharmaen kyun
khiDki khiDki sannaTa hai chilman chilman tanhai
chahat ki mahfil mein ab hum naqd-e-dil-o-jaan laen kyun
wadon ke jangal mein 'azar' hum to barson bhaTke hain
aap karen kyun dil pe bharosa aap ye dhoka khaen kyun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.