tum se to kuchh bhi kam meri chahat nahin rahi
tum se to kuchh bhi kam meri chahat nahin rahi
Dharmendra Tijoriwale Azad
MORE BYDharmendra Tijoriwale Azad
tum se to kuchh bhī kam mirī chāhat nahīñ rahī
aisā bhī kyā huā ki mohabbat nahīñ rahī
pal-pal marā huuñ soch ke tum ko kisī ke saath
ab mujh ko ḳhud-kushī kī zarūrat nahīñ rahī
bhīge vo ashk meñ thā jinheñ bhīgne kā Dar
dariyā ko paar karne kī himmat nahīñ rahī
karvaT to rāt-bhar hī badalte rahe magar
dil ko kisī tarah kī bhī rāhat nahīñ rahī
bas vo zarā sī der mirī zindagī rahā
phir us ke baa'd koī zarūrat nahīñ rahī
bāteñ tamām thiiñ to mile bhī usī ko the
par kuchh bhī bolne kī ijāzat nahīñ rahī
tum se to kuchh bhi kam meri chahat nahin rahi
aisa bhi kya hua ki mohabbat nahin rahi
pal-pal mara hun soch ke tum ko kisi ke sath
ab mujh ko KHud-kushi ki zarurat nahin rahi
bhige wo ashk mein tha jinhen bhigne ka Dar
dariya ko par karne ki himmat nahin rahi
karwaT to raat-bhar hi badalte rahe magar
dil ko kisi tarah ki bhi rahat nahin rahi
bas wo zara si der meri zindagi raha
phir us ke ba'd koi zarurat nahin rahi
baaten tamam thin to mile bhi usi ko the
par kuchh bhi bolne ki ijazat nahin rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.