tum se ye kab kaha hai ki aksar mila karo
tum se ye kab kahā hai ki aksar milā karo
mujh se mire junūñ ke barābar milā karo
maiñ tum se jab milūñ to mukammal milā karūñ
tum mujh se jab milo to sarāsar milā karo
naama barā.e nisf mulāqāt bhuul jaao
takmīl-e-kār-e-ḳhair ko aa kar milā karo
miltā nahīñ vajūd ke bāhar kisī se maiñ
mujh se mire vajūd ke andar milā karo
dād-e-jamāl-o-husn sameTūñ bilā-hisāb
milne ke baa'd mujh se mukarrar milā karo
mujh se nahīñ hai ḳhaas ta'alluq tumheñ to phir
auroñ kī tarah mujh se bhī hañs kar milā karo
ye Thiik hai ki sirf taġhayyur ko hai sabāt
mil kar bichhaḌne vaalo bichhaḌ kar milā karo
tum se ye kab kaha hai ki aksar mila karo
mujh se mere junun ke barabar mila karo
main tum se jab milun to mukammal mila karun
tum mujh se jab milo to sarasar mila karo
nama barae nisf mulaqat bhul jao
takmil-e-kar-e-KHair ko aa kar mila karo
milta nahin wajud ke bahar kisi se main
mujh se mere wajud ke andar mila karo
dad-e-jamal-o-husn sameTun bila-hisab
milne ke ba'd mujh se mukarrar mila karo
mujh se nahin hai KHas ta'alluq tumhein to phir
auron ki tarah mujh se bhi hans kar mila karo
ye Thik hai ki sirf taghayyur ko hai sabaat
mil kar bichhaDne walo bichhaD kar mila karo
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 29.07.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.