tum tak aa bhi na sakun tumko bula bhi na sakun
tum tak aa bhi na sakun tumko bula bhi na sakun
Agha Shayar Qazalbash
MORE BYAgha Shayar Qazalbash
tum tak aa bhī na sakūñ tum ko bulā bhī na sakūñ
ye to kuchh aisī dharī hai ki uThā bhī na sakūñ
naqsh-e-hastī mirā dam-bhar meñ fanā hotā hai
terī hasrat to nahīñ hai ki miTā bhī na sakūñ
mīThī mīThī vo ḳhalish dī hai tire tīroñ ne
dil meñ rakh bhī na sakūñ jaan se jā bhī na sakūñ
maiñ khaTaktā hī rahā kartā huuñ aġhyāroñ ko
tum sā nāzuk huuñ jo nazroñ meñ samā bhī na sakūñ
halkī halkī vo pilā sāqi-e-mehvash mujh ko
mast rah bhī na sakūñ hosh meñ aa bhī na sakūñ
tum ko iksīr mubārak rahe daulat-mando
maiñ vo huuñ ḳhaak jo nazroñ meñ samā bhī na sakūñ
saf.ha-e-dahr se kis tarh miTe girya-e-ḳhūñ
harf-e-nam hai ki jo kāġhaz se uThā bhī na sakūñ
shikva-e-zulm bhī is darja girāñ hai 'shā'ir'
raaz kī tarh zabāñ tak jise lā bhī na sakūñ
tum tak aa bhi na sakun tum ko bula bhi na sakun
ye to kuchh aisi dhari hai ki uTha bhi na sakun
naqsh-e-hasti mera dam-bhar mein fana hota hai
teri hasrat to nahin hai ki miTa bhi na sakun
miThi miThi wo KHalish di hai tere tiron ne
dil mein rakh bhi na sakun jaan se ja bhi na sakun
main khaTakta hi raha karta hun aghyaron ko
tum sa nazuk hun jo nazron mein sama bhi na sakun
halki halki wo pila saqi-e-mehwash mujh ko
mast rah bhi na sakun hosh mein aa bhi na sakun
tum ko iksir mubarak rahe daulat-mando
main wo hun KHak jo nazron mein sama bhi na sakun
safha-e-dahr se kis tarh miTe girya-e-KHun
harf-e-nam hai ki jo kaghaz se uTha bhi na sakun
shikwa-e-zulm bhi is darja giran hai 'sha'ir'
raaz ki tarh zaban tak jise la bhi na sakun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.