tum takabbur se kisi roz nikal kar dekho
tum takabbur se kisī roz nikal kar dekho
apnī nafrat ko mohabbat meñ badal kar dekho
ro bhī saktā hai gale lag ke tumhārā dushman
tum 'adāvat ko miTāne kī pahal kar dekho
apnī himmat se hī tārīḳh badal doge tum
zahr detī hai ye duniyā to nigal kar dekho
laḌkhaḌāne ke bahāne to hazāroñ hoñge
tum ko chalnā hai to apne se sañbhal kar dekho
apnī uljhan ko zarā der kināre rakh kar
ek bachche kī tarah yūñhī uchhal kar dekho
bojh lagtā hai ye jīvan bhī to mushkil ho kar
thoḌā thoḌā hī sahī ḳhud ko saral kar dekho
ḳhvāb buntā hī rahā huuñ maiñ tumhāre lekin
aaj sāñsoñ se mirī tum bhī pighal kar dekho
tum takabbur se kisi roz nikal kar dekho
apni nafrat ko mohabbat mein badal kar dekho
ro bhi sakta hai gale lag ke tumhaara dushman
tum 'adawat ko miTane ki pahal kar dekho
apni himmat se hi tariKH badal doge tum
zahr deti hai ye duniya to nigal kar dekho
laDkhaDane ke bahane to hazaron honge
tum ko chalna hai to apne se sanbhal kar dekho
apni uljhan ko zara der kinare rakh kar
ek bachche ki tarah yunhi uchhal kar dekho
bojh lagta hai ye jiwan bhi to mushkil ho kar
thoDa thoDa hi sahi KHud ko saral kar dekho
KHwab bunta hi raha hun main tumhaare lekin
aaj sanson se meri tum bhi pighal kar dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.