tum to hasad ki aag mein patthar hi lae the
tum to hasad kī aag meñ patthar hī laa.e the
nauhe havā ke dosh pe ham ne sunā.e the
ye raushnī jo dekhte ho tum jagah jagah
ham ne ye sab charāġh havā meñ jalā.e the
jab qāfila hamārā huā thā lahū meñ tar
us majma-e-adū meñ nazar tum bhī aa.e the
jab shaam ke ġhubār meñ ujḌā thā koī baaġh
ujlī sahar ke phuul the ḳhushbū nahā.e the
ye tāzgī kalām ko yūñhī nahīñ milī
dil ke mu'āmalāt bhī manzar banā.e the
tum to hasad ki aag mein patthar hi lae the
nauhe hawa ke dosh pe hum ne sunae the
ye raushni jo dekhte ho tum jagah jagah
hum ne ye sab charagh hawa mein jalae the
jab qafila hamara hua tha lahu mein tar
us majma-e-adu mein nazar tum bhi aae the
jab sham ke ghubar mein ujDa tha koi bagh
ujli sahar ke phul the KHushbu nahae the
ye tazgi kalam ko yunhi nahin mili
dil ke mu'amalat bhi manzar banae the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.