tum to Thukra ke gae dur tumhein kya malum
tum to Thukra ke gae dur tumhein kya malum
Zaheer-ul-Hasan Tishna
MORE BYZaheer-ul-Hasan Tishna
tum to Thukrā ke ga.e duur tumheñ kyā ma.alūm
ho gayā shīsha-e-dil chuur tumheñ kyā ma.alūm
ashk aa jaate haiñ āñkhoñ meñ to kyā merā qusūr
dard-e-dil kartā hai majbūr tumheñ kyā ma.alūm
muskurāhaT hī to hotī nahīñ ishrat kī dalīl
kyā tabassum meñ hai mastūr tumheñ kyā ma.alūm
mujh pe kyā kyā na zamāne ne sitam toḌ diye
tum to mujh se ho bahut duur tumheñ kyā ma.alūm
tum ko kyā tum to ho halqe meñ mah-o-anjum ke
zindagī kis kī hai be-nūr tumheñ kyā ma.alūm
is ke khañDarāt hī tum aa ke zarā dekh to lo
shahr-e-dil merā thā mash.hūr tumheñ kyā ma.alūm
pheñktā kaise nahīñ kaise lagātā muñh se
jaam thā zahr se bharpūr tumheñ kyā ma.alūm
tum samajhte ho ki piitā hai bahut ab 'tishna'
vo mai-e-ġham se hai maḳhmūr tumheñ kyā ma.alūm
tum to Thukra ke gae dur tumhein kya malum
ho gaya shisha-e-dil chur tumhein kya malum
ashk aa jate hain aankhon mein to kya mera qusur
dard-e-dil karta hai majbur tumhein kya malum
muskurahaT hi to hoti nahin ishrat ki dalil
kya tabassum mein hai mastur tumhein kya malum
mujh pe kya kya na zamane ne sitam toD diye
tum to mujh se ho bahut dur tumhein kya malum
tum ko kya tum to ho halqe mein mah-o-anjum ke
zindagi kis ki hai be-nur tumhein kya malum
is ke khanDaraat hi tum aa ke zara dekh to lo
shahr-e-dil mera tha mashhur tumhein kya malum
phenkta kaise nahin kaise lagata munh se
jam tha zahr se bharpur tumhein kya malum
tum samajhte ho ki pita hai bahut ab 'tishna'
wo mai-e-gham se hai maKHmur tumhein kya malum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.