tum usi ko wajh-e-tarab kaho hum usi ko bais-e-gham kahen
tum usi ko wajh-e-tarab kaho hum usi ko bais-e-gham kahen
Qamar Moradabadi
MORE BYQamar Moradabadi
tum usī ko vaj.h-e-tarab kaho ham usī ko bā.is-e-ġham kaheñ
vahī ik fasāna-e-ishq hai kabhī tum kaho kabhī ham kaheñ
kabhī zikr-e-mehr-o-vafā kareñ kabhī dāstān-e-alam kaheñ
baḌe e'timād se vo suneñ baḌe e'timād se ham kaheñ
jise inqalāb na chhū sakā use tū ne ḳhud hī miTā diyā
vahī ek dil kā sanam-kada jise ābrū-e-haram kaheñ
vahī dil-ḳharāsh sī ik nazar jo ba-qadr-e-zauq hai neshtar
use koī tarz-e-sitam kahe ham adā-e-pursish-e-ġham kaheñ
tujhe ye ḳhabar nahīñ sāqiyā ki hai mai-kashoñ kā maqām kyā
ye unhīñ kī vus.at-e-qalb hai ki ḳhud apne zarf ko kam kaheñ
hama-ārzū hama-be-ḳhudī hama-bandagī hama-be-kasī
yahī chand lamhoñ kī zindagī ise kyuuñ na fursat-e-ġham kaheñ
'qamar' is se ham ko ġharaz hī kyā hai sabhī se us kā mo.āmla
jo ḳhudā kaheñ vo ḳhudā kaheñ jo sanam kaheñ vo sanam kaheñ
tum usi ko wajh-e-tarab kaho hum usi ko bais-e-gham kahen
wahi ek fasana-e-ishq hai kabhi tum kaho kabhi hum kahen
kabhi zikr-e-mehr-o-wafa karen kabhi dastan-e-alam kahen
baDe e'timad se wo sunen baDe e'timad se hum kahen
jise inqalab na chhu saka use tu ne KHud hi miTa diya
wahi ek dil ka sanam-kada jise aabru-e-haram kahen
wahi dil-KHarash si ek nazar jo ba-qadr-e-zauq hai neshtar
use koi tarz-e-sitam kahe hum ada-e-pursish-e-gham kahen
tujhe ye KHabar nahin saqiya ki hai mai-kashon ka maqam kya
ye unhin ki wusat-e-qalb hai ki KHud apne zarf ko kam kahen
hama-arzu hama-be-KHudi hama-bandagi hama-be-kasi
yahi chand lamhon ki zindagi ise kyun na fursat-e-gham kahen
'qamar' is se hum ko gharaz hi kya hai sabhi se us ka moamla
jo KHuda kahen wo KHuda kahen jo sanam kahen wo sanam kahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.