tum watan chhoD ke ghar-bar kahan jaoge
tum vatan chhoḌ ke ghar-bār kahāñ jāoge
toḌ do vaqt kī dīvār kahāñ jāoge
mas.ala qaum kā hai aur qayādat nādāñ
saath gar chhoḌ de sardār kahāñ jāoge
shai-e-mafqūd hai DhūñDe se nahīñ miltā hai
āj-kal jazba-e-īsār kahāñ jāoge
chār-sū aag barastī hai zamīñ par dekho
phir barahna bhī haiñ ashjār kahāñ jāoge
sādgī se nahīñ paḌh pāoge ahvāl-e-junūñ
surḳh hai ḳhuun se aḳhbār kahāñ jāoge
kāġhazī naav hai dariyā kā talātum tauba
TuuT gar jaa.e to patvār kahāñ jāoge
pās-e-rishta nahīñ is dasht meñ 'sāqib' sāhib
na to apne haiñ na aġhyār kahāñ jāoge
tum watan chhoD ke ghar-bar kahan jaoge
toD do waqt ki diwar kahan jaoge
masala qaum ka hai aur qayaadat nadan
sath gar chhoD de sardar kahan jaoge
shai-e-mafqud hai DhunDe se nahin milta hai
aaj-kal jazba-e-isar kahan jaoge
chaar-su aag barasti hai zamin par dekho
phir barahna bhi hain ashjar kahan jaoge
sadgi se nahin paDh paoge ahwal-e-junun
surKH hai KHun se aKHbar kahan jaoge
kaghazi naw hai dariya ka talatum tauba
TuT gar jae to patwar kahan jaoge
pas-e-rishta nahin is dasht mein 'saqib' sahib
na to apne hain na aghyar kahan jaoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.