tum ye kahte ho main likh dun ek pechida kitab
tum ye kahte ho maiñ likh duuñ ek pechīda kitāb
kis ne māñgā hai samundar se yuuñ maujoñ kā hisāb
kab talak tum hāl-e-dil apnā chhupāoge yahāñ
is ruḳh-e-nāzuk pa le ik muskurāhaT kā hijāb
ḳhār-o-ḳhas kī oT meñ bhī khil uThā thā ek phuul
kuchh kañval kī nāzukī thī kuchh thā andāz-e-gulāb
kyoñ achānak ziist kī mahfil huī hai sogvār
kis kī aamad se huā lutf-e-chaman zer-e-‘itāb
yā to dasht-e-'ishq meñ chashma muravvat kā bahā
yā vo sahrā-e-mohabbat kā thā ik sangīñ sarāb
kuchh to mahkī haiñ fazā.eñ kuchh havā bhī mehrbāñ
haañ magar dil par bahār-e-dilnashīñ misl-e-‘azāb
haañ zarūrat hai tirī 'māham' amāvas meñ bhī aaj
haiñ sitāre bhī pareshāñ shab kī hālat bhī ḳharāb
tum ye kahte ho main likh dun ek pechida kitab
kis ne manga hai samundar se yun maujon ka hisab
kab talak tum haal-e-dil apna chhupaoge yahan
is ruKH-e-nazuk pa le ek muskurahaT ka hijab
KHar-o-KHas ki oT mein bhi khil uTha tha ek phul
kuchh kanwal ki nazuki thi kuchh tha andaz-e-gulab
kyon achanak zist ki mahfil hui hai sogwar
kis ki aamad se hua lutf-e-chaman zer-e-‘itab
ya to dasht-e-'ishq mein chashma murawwat ka baha
ya wo sahra-e-mohabbat ka tha ek sangin sarab
kuchh to mahki hain fazaen kuchh hawa bhi mehrban
han magar dil par bahaar-e-dilnashin misl-e-‘azab
han zarurat hai teri 'maham' amawas mein bhi aaj
hain sitare bhi pareshan shab ki haalat bhi KHarab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.