tumhaara aise ghar jaana bahut taklif deta hai
tumhaara aise ghar jaana bahut taklif deta hai
Abdullah Minhaj Khan
MORE BYAbdullah Minhaj Khan
tumhārā aise ghar jaanā bahut taklīf detā hai
laḌā.ī ham se kar jaanā bahut taklīf detā hai
bazāhir 'ishq kā iz.hār kar to letī hai lekin
magar us kā mukar jaanā bahut taklīf detā hai
vo jis ne mujh ko har ik moḌ pe aakar sañbhālā hai
ab us kā yuuñ bikhar jaanā bahut taklīf detā hai
bulandī se utar kar koī bhī martā nahīñ lekin
nigāhoñ se utar jaanā bahut taklīf detā hai
jahāñ se chal ke mīloñ aa ga.e haiñ sū-e-manzil ham
palaT kar phir udhar jaanā bahut taklīf detā hai
kisī se 'ishq meñ 'minhāj' dushvārī nahīñ lekin
magar had se guzar jaanā bahut taklīf detā hai
tumhaara aise ghar jaana bahut taklif deta hai
laDai hum se kar jaana bahut taklif deta hai
bazahir 'ishq ka izhaar kar to leti hai lekin
magar us ka mukar jaana bahut taklif deta hai
wo jis ne mujh ko har ek moD pe aakar sanbhaala hai
ab us ka yun bikhar jaana bahut taklif deta hai
bulandi se utar kar koi bhi marta nahin lekin
nigahon se utar jaana bahut taklif deta hai
jahan se chal ke milon aa gae hain su-e-manzil hum
palaT kar phir udhar jaana bahut taklif deta hai
kisi se 'ishq mein 'minhaj' dushwari nahin lekin
magar had se guzar jaana bahut taklif deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.