tumhaara aks tumhaara KHayal kuchh bhi nahin
tumhārā 'aks tumhārā ḳhayāl kuchh bhī nahīñ
hamāre paas barā-e-jamāl kuchh bhī nahīñ
tumhāre haath meñ aa.eñ to shakl meñ aa.eñ
abhī talak to hamārī misāl kuchh bhī nahīñ
paḌe hue haiñ kisī chaak se haTā.e hue
hamāre haal sā ab pā.emāl kuchh bhī nahīñ
jo gir chukā ho kisī kī hasīn āñkhoñ se
phir us ke vāste ‘ahd-e-zavāl kuchh bhī nahīñ
yahīñ se jaan le apnī tū bādshāhī kā
faqīr ho ke bhī tujh se savāl kuchh bhī nahīñ
ik aur tarh kā rishta hai ab harīfoñ se
ki donoñ samt se chalne ko chaal kuchh bhī nahīñ
maiñ ek shā'ir-e-nākām huuñ ai shahzādī
sipah ke sāmne lafzoñ kī Dhaal kuchh bhī nahīñ
tumhaara 'aks tumhaara KHayal kuchh bhi nahin
hamare pas bara-e-jamal kuchh bhi nahin
tumhaare hath mein aaen to shakl mein aaen
abhi talak to hamari misal kuchh bhi nahin
paDe hue hain kisi chaak se haTae hue
hamare haal sa ab paemal kuchh bhi nahin
jo gir chuka ho kisi ki hasin aankhon se
phir us ke waste ‘ahd-e-zawal kuchh bhi nahin
yahin se jaan le apni tu baadshahi ka
faqir ho ke bhi tujh se sawal kuchh bhi nahin
ek aur tarh ka rishta hai ab harifon se
ki donon samt se chalne ko chaal kuchh bhi nahin
main ek sha'ir-e-nakaam hun ai shahzadi
sipah ke samne lafzon ki Dhaal kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.