tumhaara dil jo chura le wo scene thoDi hai
tumhārā dil jo churā le vo scene thoḌī hai
ġhazal hamārī ye tāza-tarīn thoḌī hai
uThā.eñ kaise tire naaz ye bhī batlā de
hamāre dil meñ faqat tū makīn thoḌī hai
kahāñ talak na lage us ko bad-nazar sab kī
hamāre jaisā vo pardā-nashīn thoḌī hai
vo ham ko jaan se zaa.id 'azīz hai lekin
hamārī baat kā us ko yaqīn thoḌī hai
samajh sake jo burā.ī bhalā.ī ko jag kī
nazar kisī kī bhī itnī mahīn thoḌī hai
use bhī paḌtī hai ārām kī yahāñ hājat
huzūr maañ hai vo koī machine thoḌī hai
mile jo daad hameñ aap se kabhī 'mīnā'
hamārī shā'irī itnī zahīn thoḌī hai
tumhaara dil jo chura le wo scene thoDi hai
ghazal hamari ye taza-tarin thoDi hai
uThaen kaise tere naz ye bhi batla de
hamare dil mein faqat tu makin thoDi hai
kahan talak na lage us ko bad-nazar sab ki
hamare jaisa wo parda-nashin thoDi hai
wo hum ko jaan se zaid 'aziz hai lekin
hamari baat ka us ko yaqin thoDi hai
samajh sake jo burai bhalai ko jag ki
nazar kisi ki bhi itni mahin thoDi hai
use bhi paDti hai aaram ki yahan hajat
huzur man hai wo koi machine thoDi hai
mile jo dad hamein aap se kabhi 'mina'
hamari sha'iri itni zahin thoDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.