tumhaara gham na ho to zindagi achchhi nahin lagti
tumhārā ġham na ho to zindagī achchhī nahīñ lagtī
ḳhamoshī se bahe jo vo nadī achchhī nahīñ lagtī
paḌe ho ishq meñ to ishq kī tahzīb bhī sīkho
kisī āshiq ke chehre par hañsī achchhī nahīñ lagtī
ye man kartā hai bādal aa ke Dhak leñ chāñd ko puurā
hoñ jab vo paas to phir chāñdnī achchhī nahīñ lagtī
kahā us ne hameñ kab vasl se inkār hai lekin
ḳhalish siine meñ us ke ba.ad kī achchhī nahīñ lagtī
ajab hai baat hairat kī hamārī shakl ye un ko
kabhī lagtī hai achchhī aur kabhī achchhī nahīñ lagtī
likhī haiñ saarī ġhazleñ bas usī ke vāste maiñ ne
vahī haañ vo hī jis ko shā.irī achchhī nahīñ lagtī
tumhaara gham na ho to zindagi achchhi nahin lagti
KHamoshi se bahe jo wo nadi achchhi nahin lagti
paDe ho ishq mein to ishq ki tahzib bhi sikho
kisi aashiq ke chehre par hansi achchhi nahin lagti
ye man karta hai baadal aa ke Dhak len chand ko pura
hon jab wo pas to phir chandni achchhi nahin lagti
kaha us ne hamein kab wasl se inkar hai lekin
KHalish sine mein us ke baad ki achchhi nahin lagti
ajab hai baat hairat ki hamari shakl ye un ko
kabhi lagti hai achchhi aur kabhi achchhi nahin lagti
likhi hain sari ghazlen bas usi ke waste main ne
wahi han wo hi jis ko shairi achchhi nahin lagti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.