tumhaara hath tumhaari jabin chumta hai
tumhārā haath tumhārī jabīn chūmtā hai
ye kaun hai jo badan dil-nashīn chūmtā hai
rah-e-vafā meñ vafā ko nibāh kar abbās
zamīn-e-karb-o-balā kī zamīn chūmtā hai
har ek lab pe hai jaarī darūd-e-āl-e-rasūl
har ek shaḳhs mohammad kā diin chūmtā hai
ab us ke haath na aanā tabāh kar degā
ye kār-e-'ishq hai har ik hasīn chūmtā hai
tumhāre baa'd tumhāre ḳhayāl meñ aksar
lagā ke koī mirī āstīn chūmtā hai
kabhī kabhī dar-o-dīvār dekh kar mire dost
makān ḳhālī hai jis ko makīn chūmtā hai
vo is liye bhī mayassar nahīñ kisī ko 'umūd'
faqīr shaḳhs hai aur sarzamīn chūmtā hai
tumhaara hath tumhaari jabin chumta hai
ye kaun hai jo badan dil-nashin chumta hai
rah-e-wafa mein wafa ko nibah kar abbas
zamin-e-karb-o-bala ki zamin chumta hai
har ek lab pe hai jari darud-e-al-e-rasul
har ek shaKHs mohammad ka din chumta hai
ab us ke hath na aana tabah kar dega
ye kar-e-'ishq hai har ek hasin chumta hai
tumhaare ba'd tumhaare KHayal mein aksar
laga ke koi meri aastin chumta hai
kabhi kabhi dar-o-diwar dekh kar mere dost
makan KHali hai jis ko makin chumta hai
wo is liye bhi mayassar nahin kisi ko 'umud'
faqir shaKHs hai aur sarzamin chumta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.