tumhaara jaana tumhaare jaane pe guzri aahaT se baat karna
tumhārā jaanā tumhāre jaane pe guzrī aahaT se baat karnā
hameñ to aadat sī ho ga.ī hai ki sarsarāhaT se baat karnā
kabhī bhī ham par khulā nahīñ hai ki asl meñ us ne kyā kahā hai
ga.ī havāoñ kī tarah kānoñ meñ sansanāhaT se baat karnā
agar ho patjhaḌ to mere ye zard haath hāthoñ meñ thaam lenā
jo sāvanoñ kī jhaḌī lagī ho to gungunāhaT se baat karnā
vo din kisī kī junūn-ḳhezī se haar kar baat maan lenā
kisī ke rañgīñ mutālbe sun ke tamtamāhaT se baat karnā
sunā hai muddat talak use ye jabīñ-sitāra sī yaad aa.ī
bahut dinoñ us ko yaad aayā thā jhilmilāhaT se baat karnā
laboñ kī surḳhī batā sakī na to kyā huā baat ho ga.ī hai
kalā.iyoñ ke tamām gajroñ kā muskurāhaT se baat karnā
tumhaara jaana tumhaare jaane pe guzri aahaT se baat karna
hamein to aadat si ho gai hai ki sarsarahaT se baat karna
kabhi bhi hum par khula nahin hai ki asl mein us ne kya kaha hai
gai hawaon ki tarah kanon mein sansanahaT se baat karna
agar ho patjhaD to mere ye zard hath hathon mein tham lena
jo sawanon ki jhaDi lagi ho to gungunahaT se baat karna
wo din kisi ki junun-KHezi se haar kar baat man lena
kisi ke rangin mutalbe sun ke tamtamahaT se baat karna
suna hai muddat talak use ye jabin-sitara si yaad aai
bahut dinon us ko yaad aaya tha jhilmilahaT se baat karna
labon ki surKHi bata saki na to kya hua baat ho gai hai
kalaiyon ke tamam gajron ka muskurahaT se baat karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.