tumhaara to yahan har pasban hai
tumhārā to yahāñ har pāsbāñ hai
hamāre har qadam par imtihāñ hai
liyā hisse meñ jis ne bhī makāñ hai
zarā pūchho to us se maañ kahāñ hai
sitam bhaa.ī pe bhaa.ī Dhā rahā hai
har ik ghar kī yahī ab dāstāñ hai
mileñge dil hamāre kis tarah se
uThī dīvār-e-nafrat darmiyāñ hai
zarūrat lab-kushā.ī kī nahīñ hai
tafakkur tere māthe se 'ayāñ hai
mohabbat se hī ye duniyā hai qaa.em
mohabbat kā hī ye dushman jahāñ hai
mohabbat būḌhī kyoñ hotī nahīñ hai
hamesha hī ye rahtī kyoñ javāñ hai
ise sīñcheñge ham apne lahū se
hamārā hī ye 'ātif' gulsitāñ hai
tumhaara to yahan har pasban hai
hamare har qadam par imtihan hai
liya hisse mein jis ne bhi makan hai
zara puchho to us se man kahan hai
sitam bhai pe bhai Dha raha hai
har ek ghar ki yahi ab dastan hai
milenge dil hamare kis tarah se
uThi diwar-e-nafrat darmiyan hai
zarurat lab-kushai ki nahin hai
tafakkur tere mathe se 'ayan hai
mohabbat se hi ye duniya hai qaem
mohabbat ka hi ye dushman jahan hai
mohabbat buDhi kyon hoti nahin hai
hamesha hi ye rahti kyon jawan hai
ise sinchenge hum apne lahu se
hamara hi ye 'atif' gulsitan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.