tumhaara zauq-e-parastish mujhe aziz magar
Interesting Fact
September 1968
tumhārā zauq-e-parastish mujhe aziiz magar
maiñ is zamīn kī miTTī mujhe ḳhudā na kaho
tumhāre saath agar do-qadam bhī chal na sakūñ
to ḳhasta-pā huuñ mujhe mujrim-e-vafā na kaho
ye ek pal kī dhaḌaktī hayāt bhī hai bahut
tamām-umr ke is rog ko burā na kaho
is ek ḳhauf se lab sī liye tumhāre huzūr
ki harf-e-shauq ko iz.hār-e-mudda.ā na kaho
ye be-ruḳhī kā gilā mujh se pahle ḳhud se karo
use nigāh kā yak-tarfa faisla na kaho
guzarte vaqt ke marham se bhar na jaa.e kahīñ
is ek zaḳhm ko chāhat kī intihā na kaho
maiñ ek zinda haqīqat huuñ ek pal hī sahī
tumhārā aks huuñ tum to mujhe fanā na kaho
tumhaara zauq-e-parastish mujhe aziz magar
main is zamin ki miTTi mujhe KHuda na kaho
tumhaare sath agar do-qadam bhi chal na sakun
to KHasta-pa hun mujhe mujrim-e-wafa na kaho
ye ek pal ki dhaDakti hayat bhi hai bahut
tamam-umr ke is rog ko bura na kaho
is ek KHauf se lab si liye tumhaare huzur
ki harf-e-shauq ko izhaar-e-muddaa na kaho
ye be-ruKHi ka gila mujh se pahle KHud se karo
use nigah ka yak-tarfa faisla na kaho
guzarte waqt ke marham se bhar na jae kahin
is ek zaKHm ko chahat ki intiha na kaho
main ek zinda haqiqat hun ek pal hi sahi
tumhaara aks hun tum to mujhe fana na kaho
- Book : Harf-e-wafa (Pg. 86)
- Author : Parveen Fana Sayyad
- Publication : Maktaba Funoon, Lahore (1974)
- Edition : 1974
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.