tumhaare aane ki jab se KHabar nahin aai
tumhāre aane kī jab se ḳhabar nahīñ aa.ī
tabhī se niiñd kī devī nazar nahīñ aa.ī
ġhamoñ ke saa.e meñ aayā nahīñ ḳhayāl tirā
ki muddatoñ se ḳhushī mere ghar nahīñ aa.ī
lagānā ġhairoñ pe ilzām sab ko aatā hai
kisī ko apnī kamī ḳhud nazar nahīñ aa.ī
tumhāre baa'd to mausam bhī jaise ruuTh gayā
bahut dinoñ se nasīm-e-sahar nahīñ aa.ī
zamīñ pe ḳhuun kī bārish meñ bah gayā sāvan
ghaTā to aa.ī magar jhuum kar nahīñ aa.ī
tumhāre saath kabhī ho ga.ī thī ruḳhsat jo
ḳhushī vo lauT ke phir 'umr bhar nahīñ aa.ī
maiñ intizār meñ jis ke khaḌā rahā aksar
kabhī vo shoḳh-adā baam par nahīñ aa.ī
har ik maqām se ye soch kar guzartā huuñ
talāsh jis kī hai vo rah-guzar nahīñ aa.ī
'kashish' ke sar pe thā jab vāldain kā saaya
kabhī bhī un kī du'ā be-asar nahīñ aa.ī
tumhaare aane ki jab se KHabar nahin aai
tabhi se nind ki dewi nazar nahin aai
ghamon ke sae mein aaya nahin KHayal tera
ki muddaton se KHushi mere ghar nahin aai
lagana ghairon pe ilzam sab ko aata hai
kisi ko apni kami KHud nazar nahin aai
tumhaare ba'd to mausam bhi jaise ruTh gaya
bahut dinon se nasim-e-sahar nahin aai
zamin pe KHun ki barish mein bah gaya sawan
ghaTa to aai magar jhum kar nahin aai
tumhaare sath kabhi ho gai thi ruKHsat jo
KHushi wo lauT ke phir 'umr bhar nahin aai
main intizar mein jis ke khaDa raha aksar
kabhi wo shoKH-ada baam par nahin aai
har ek maqam se ye soch kar guzarta hun
talash jis ki hai wo rah-guzar nahin aai
'kashish' ke sar pe tha jab waldain ka saya
kabhi bhi un ki du'a be-asar nahin aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.